Friday, November 23, 2007

[Ghazal] ... muhabbat meN gar-che taaq na thaa


haazireen-e-mahfil:

is saal ki apni pahli (aur aaKhiri) Ghazal lekar haazir hooN. aap ke tamaam ta'assuraat aur Khayaalaat, aap ki aaraa' aur tanqeed kaa mujhe be-sabri se intizaar rahegaa.

mulaahiza farmaayeN:
  1. yeh dil hamaara muhabbat meN gar-che taaq na thaa
    magar kuchh aisaa bhi begaana-e-mazaaq na thaa

  2. tiraa Khayaal, tire Khwaab, aur tiree Khwaahish
    sukooN mujhe kisii karwaT shab-e-firaaq na thaa

  3. uThaa hi lete Gham-e-zindagii kaa baar, magar
    yeh shart thii k Gham-e-yaar ham pe shaaq na thaa[1]

  4. woh shoKh kitni safaa'ii se le gayaa baazii!
    qimaar-e-ishq meN dil apnaa chust-o-chaaq na thaa

  5. ab aage zikr bhi kyaa keejiye raqeeboN kaa
    k dostoN hi se jab apnaa ittifaaq na thaa

  6. libaas tan ko muyassar, na sar ko chhat thi naseeb
    magar mizaaj meN kab shaahi tum.turaaq na thaa!

  7. go us kaa husn hi ik husn thaa jahaaN bhar meN
    hamaara 'ishq bhi ik 'ishq thaa, mazaaq na thaa!

  8. jahaaN bhi chaahaa use sajda kar liyaa maiN ne
    miraa Khudaa kabhi paaband-e-baab-o-taaq na thaa

  9. rah-e-wafaa meN woh kyooN saath meraa chhoR gayaa?
    safar kaa shauq thaa, manzil kaa ishtiyaaq na thaa?

    aur maqta' 'arz hai, k --

  10. 'ilaaj ham ne bhi DhooNDaa bahut, magar afsos!
    tumheN to 'ishq thaa "Khursheed ji", miraaq[2] na thaa!

[1] go k sarf-o-nahw (grammar) ki fasaahat ke madd-e-nazar is sh'er meN "shaaq na thaa" ke bajaae "shaaq na ho" honaa chaahiye, magar phir bhi maiN is ist'emaal ko, aur sh'er ki mau'jooda shakl ko qaabil-e-qubool gardaantaa hooN. is ki do wajheN haiN -- awwal, sh'er ki zameen meN yeh ist'emaal khaptaa hi naheeN kisi hadd tak phabtaa bhi hai, aur doyam, is qism ke fiqre aajkal ki puraani dilli ki Urdu bolne waali saRkoN par 'aam ho chale haiN. lihaaza is ist'emaal ko mere nazdeek Ghalat-ul-'aam faseeh kaa darja de diyaa jaanaa chaahiye.

[2] miraaq: melancholia, ek aisi zahni beemaari jis meN dil par bechaini taari rahti hai, tarah tarah ke Khayaal dimaaGh meN aate haiN aur insaan har waqt pareshaaN.haal rahtaa hai.

No comments:

Post a Comment